![]() |
| Jab bhi Chand- Suraj ka zikra kabhi ayega In timtimate sitaron ko bhi yaad kiya jayega!! |
Hai Chand – Sitaro ka yeh manzar bhi ajab aaj raat,
Hain koson door sitarey par timtimaatey puri raat !!
Thoda hi sahi karte roshan, par dete saath puri raat
Poocho chanda se chali kahan, abhi baki hai adhi raat?
“Hai mera jeevan Adha, udhaar par hai chandni meri!
Un Sitaron mein se ek ki, yeh hai ajab roshni meri !
Na karna yaad mujhe, na choona chandni ko meri
Mera jeevan chakra hai poorna, par raat adhi hai meri”
Udhar ki ho roshni ya udhar ka ho fir woh sindoor
Chamakta chand lamha par, chalta nahi bahu door
Har poonam ki chand ka wohi hashra hota hai
Char din ki chandni; lekin suraj din-o-din hota hai.
Sitaron se poocha to woh chupke se timtimaye
Hum hain toh door par dosti humne hi nibhaye
Ek Suraj hai kafi Akash-Ganga me hamara
Wohi hai srot jeevan ka aur chandni ka sahara!
“Roshni hamari hai kam par koi gum nahi
Humein yaad karo-na-karo, hum hain yahin.
Jab bhi Chand- Suraj ka zikra kabhi ayega
In timtimate sitaron ko bhi yaad kiya jayega!!

0 comments:
Post a Comment